Zindan se choot kar jo watan jaiyo zainab
Noha Lyrics & Urdu Writeup on Bibi Zainab (s.a) recited by Syed Askari Hasan Zaidi
Zindan se chut kar jo watan jayio Zainab
Sughra ko meri seenay se liptayio Zainab
Kehna ke Hussain ibne Ali pyasa mara hay
Sharbat pe mera fatiha dilwayio Zainab
Mangay jo Sakina ko kaneezi may sitamgar
Tum minnatain kar ke usay churrwayio Zainab
Masoom jo bachay hain unhay doodh ke koozay
Asghar ke meray naam pe pilwayio Zainab
Ahbab e watan ko meray pani ke sabileen
……
Chadar ke awaz balon se munh apna chupaey
Darbar may hakim ke chali jayio Zainab
Hakim jo Sakina ko kafan de to na lena
Masooma ko kurtay may hi dafnayio Zainab
Saqqaey haram tishna dahan qatl hua hay
Ye qabr pe Abbas ki likhwayio Zainab
Want these lyrics offline?
Install the Bayaaz mobile app for iOS and Android to read all 7,000+ lyrics offline, create personalized playlists, and experience seamless audio playback anywhere.